Kaise ho agar aapke paida hote hi aapke kaano azaan nahi sunai jaati?
😔
Dard hua? Rooh kaanpi?
Ab socho mujhe kitna bura laga hoga…
Bhale jo pehla jumla maine suna tha vo Azaan nahi thi,
Per mere liye aaj duniya ka sabse pyaara jumla Azaan hai.
🕋❤️
Azaan sunte hi jo sukoon, jo thandak milti hai —
Woh is jahan me kahi nahi mil sakti.
Aur yehi bana meri zindagi ka turning point.
🔁
Woh pehli Tahajjud meri zindagi ka naya mod ban gayi —
🌙🤲
Islam ke raaste ne meri pehchaan ko badal diya:
“Vedant” se “Muhammad Vihaan”.
Pehle suna tha ke Islam sirf khauf deta hai,
Lekin jab apne Nabi ﷺ ki taleem padhi — samajh aaya:
📖🕊️
Islam sirf deen nahi, zindagi jeene ka tareeqa hai.
Aapka Islam ek tohfa tha, mera Islam ek jung.
⚔️🎁
Lekin har dard ke baad, Rab ne sukoon likha tha.
Aur aaj meri jung bhi ek tohfa ban chuki hai.
💔➡️🕊️
“Islam musalmanon se mat seekhna, apne Nabi ﷺ se seekhna.”
🌟
Main chahta tha kuch badle — ek remainder ban paana.
Ek narmi bhari yaad-dihani.
Aur woh dua jo Tahajjud me maangi thi…
Alhamdulillah, qubool hui.
🤍
Sajda karte waqt sirf maatha nahi jhukta, pura wajood pighal jaata hai.
🧎♂️🕋
Azaan… ek awaaz nahi, ek daawat hoti hai.
Jise humne itna suna ki mehsoos karna bhool gaye.
Isliye maine un lafzon ko kapdon pe utaara —
👕📿
Taake har pehnawa ek reminder ban jaye.
Ek khamosh daawat.
Na thopi gayi, na chhupayi gayi. Bas pehni gayi.
Yeh koi brand nahi…
Ek tahreek hai.
Jo har bhool chuke dil ko wapas us raah pe laana chahti hai…
Jahan se sukoon shuru hota hai.
🕊️